Namaz or Qur'an
Namaz chehry ka Noor or Quran Dil ka Sakoon hai..!
hr mard or aurat ko ye jan lena chahye ke Imaan or aqidon ko sahih kr leny ke bad sb farzon main sb se bra farz namaz hai . Q ke Qur'an Majeed or ahadis main bohat zyada or bar bar iski takeed ai hai.yad rakho ke jo namaz ko farz na many ya namaz ki toheen kry ya namaz ko halki or be-qadar cheez samjh kr iski trf be tawajhi barty wo kafir or islam se kharij hai. or jo shakhs namaz na prhy wo bohat bra gunahgar,qehroqahar,or gazb'o jabbar main girfitar or azab-e-jahan'num ka huqdar hai....or wo is laiq hai ke pehly Badshah Islam usko tanbiya'o sza dy. phir bhi wo namaz na prhy toisko qaid kr dy. yahn tk ke tobah kry or namz prhny lgy.
"blky Imam Malik'o Shafai'o ahmad ke nazdik Badshah Islaam ko iske qatal ka hukam hai"
(Dar Mukhtar,kitab al-salat)
Qur'an ki tilawat ka sawab..!
Qur'an majeed prhny or prhany ke fazail or ajar'o sawab bohat zayada hain iske mutaliq chnd hadison ko prh lo or in pr amal kr ke ajr'o sawab ki dolton se mala'maal ho jao.
Hadis shareef:-
Rasool Akramﷺ ne irshad frmaya ke tum main wo behtareen shakhs hai jo Qur'an majeed prhy or prhaye. (Sahih Bukhari)
Hadis shareef:-
Rasool Akramﷺ ne irshad frmaya ke jo Qur'an prhny main mahir hai wo "Kiraman katbain"ke sath hai,Or jo shakhs ruk ruk kr Qur'an prhta hai or wo is pr shaq hai yani uski zuban asani se nhn chlti takleef ke sath alfaz ada hoty hain iske liye do'guna sawab hai. (jama Altarmizi)
Hadis shareef:-
Hazoor Akramﷺ ne farmaya ke jiske siny main kuch bhi Qur'an nhn hai wo wirana or ujray makan ki misl hai. (jama Altarmizi)
Comments
Post a Comment
jazak Allah..