Allah 99 Name With Meaning Part two

Image
  Allah 99 Name With Meaning Part two ا نگریزی اور اردو معنی کے ساتھ اللہ کے 99 نام۔ اللہ کے 99 ناموں کا انگریزی اور اردو ترجمہ۔ ان ناموں کو پڑھیں اور یاد رکھیں۔ اسماالحسناء Allah 99 Name With Meaning     Al-Azim (العظيم)  The Magnificent    بہت عظمت والا   Al-Ghafur (الغفور)  The Forgiver and Hider of Faults   خوب بخش دینے والا                             Ash-Shakur (الشكور)       The Rewarder of Thankfulness  قدر دان  Al-Ali (العلى)  The Highest    بلندی والا                                                    Al-Kabir (الكبير)  The Greatest   بہت بڑا                                      ...

Namaz ki Fazilat


Namaz ki Fazilat


Namaz ki Fazilat

Be-shak Namaz he Behtareen sathi hai...!

''Dunia se Qabar tk''
''Qabar se Hashar tk''
''Hashar se Jannat tk..!

Namaz ki Fazilat Quran ki roshni main:

"Aur Namaz Qaim Krn Meri Yaad Ke Liye" (Surah Taha 14)

"Beshak Namaz Behayai Aur Buri Baton Se Rokti Hai" (Surah Al-Anqaboot 45)

"Yaqeenan Wo Momineen Falah Paa Gye Jo Apni Namazon mein Khushoo Ikhtiyar Karte Hain" (Al-Momnoon 1,2)

"Aur Wo Jo Apni Namazo Ki Hifazat Karte Hain Yahi Log Janat Me Izat Paye Gay" (Al-Maraaj 34,35)

"Aur Allah Ne Farmaya K Beshak Main Tumhare Sath Hon Agar Tum Namaz Qaim Karo Gay" (Al-Maida 12)

"Aur Sabar Aur Namaz Se Madad Hasil Karen" (Al-Baqra 45)

"Aur Tum Taqwa Ikhtiyar Karo Aur Namaz Qaim Rakho Aur Tum Shirk Karnay Walo Mein Se Na Ho" (Al-Roum 31)
Note:

Yahan Aik Baat Note Karne Wali Hai,Namaz Susti Aur Kahli Aur Musrufiyat Rokti Hai Aur Teesara Shetaan.Agar Koi Shakhs Allah Jala Shana K Hukam Ko Chor Kar Susti Aur Kahli Aur Shetaan Ka Hukam Manta Hai To Wo Bhi Shirk Ho Jay Ga.

"Namazo Ki Hifazat Karen Aur Khusosan Darmiyan Ki Namaz Poori Pabandi K Sath Adda Karte Raho Aur Allah K Agay Adab Se Kharay Raho" (Al-Baqra 238)


"Aur Namaz Qaim Karo Aur Zakat Diya Karo Aur Allah(Allah Jala Shana K Agay) Ruku Karo Ruku Karne Walo K Sath" (Al-Baqra 43)

"Pas In Namaziyon Ke Liye Kharabi Hai Jo Namazon Say Ghafil Hain" (Al-Maoon 4,5)
 Namaz Ki Fazilat Ahadees Ki Roshani Mein: 


"Namaz Mein Shifa Hai" (Musnad Ahmed,Tarteeb Sharif)
"Admi Ki Namaz Is K Dil Ka Noor Hai" (Tarteeb Sharif)
"Namaz Meri Ankhon Ki Thandh Hai" (Tibrani,Tarteeb Sharif)
"Namaz Lazam Hai Kyu K Ye Afzal Jihad Hai Aur Gunaho Ko Tark Kar Dena Afzal Hijrat Hai" (Tarteeb Sharif)
"Namaz Hr Muttaqi Ke Liye Allah Jalla Shana Se Qurb Ka Zariya Hai" (Tarteeb Sharif)
"Namaz Momin Ki Meraaj Hai"

Namaz Se Gunah Ase Girty Hain Jaisy Khizan Mein Khushk Pattay Darakht Se Girty Hain" (Musnad Ahmed)

"App Sallallah O Alaihe Wa'alehi Wasallam Ko Jab Koi Sakht Amar Paish Ata Tha To App Sallallah O Alaihe Wa'alehi Wasallam Namaz Ki Taraf Foran Mutawajja Hoty Thy" (Musnad Ahmed,Abu Dawood)

"Admi Or Shirk Ke Darmiyan Namaz He Haa'il Hai" (Fazal E Amal)
"Allah Jalla Shana Ne Koi Cheez Iman Or Namaz Se Afzal Farz Nahi Ki"


"Namaz Ada Krny Se Shetaan Ka Mu Siyah Ho Jata Hai"

"Jannat Ki Kunnjiyaan Namaz Mein Hain"
"Hmary Aur Kafiroon K Darmiyaan Jo Waqeyi Farak Hai Wo Namaz Parhny Aur Na Parhny Ka Hai,Pas Jisne Namaz Chor Di Isny Kufar Ka Kam Kiya"

Ye Thi Kuch Ahadees,Agar Main Sirf Akhari Biyan Ki Hoi Hadees Ki Baat Krun To Ap Dekh Lyn Ke Agr Hum Namaz Nhn Parhty To Kufar Ka Kaam Krty Hain..Namaz Farz Ki Gai Hai Or Iska Parhna Lazim Hai,Allah Jalla Shana Hmain Namaz Parhny Ki Tofiq Ata Frmaen..Ameen




Comments

Post a Comment

jazak Allah..

Popular posts from this blog

Islamic Hd wallpaper 2020

Juma Mubarak best wishes and quotes 2020

Eid Mubarak Greeting