"Namaz"
Hazoor Akram S.A.W.W ne Irshad farmaya...!
'' Namaz meri Aankhon ki Thandak hai''
Ibadat or muamlat-e-deen ke mutaliq shariyat-e-Islamiya ki istilahat darj zail hain..
or hr qism ki ibadat se pehly inka janna bohat zrori hai ta ke ibadat sharai asulon ke mutabiq hon.
Farz
Farz is amal ko kha jta hai jo Quran pak or Sunnat ki ruu se sabit ho.aise amal ko shariyat ki ruu se krna zruri hai.isy bila sharai uzr tark krny wla fasiq-o-fajir hoga.or iska inkar krny wla kafir hoga.jesy Namaz,Roza,Zakaat,Hujj wgera fraiz mai se hain.aaaaagr koi inkainkar kry ga to wo daira-e-Islam se nikl jaye ga.
Farz ki Iqsam..!
Farz ki do qismain hain:-
⇨ Farz-e-Ain (فرضِ عین)
⇨ Farz-e-Kafaya (فرضِ کفایہ)
Farz-e-Ain (فرضِ عین):-
⇝ "farz-e-ain wo farz hai jiska ada krna hr ak ke liye bohat zarori hai"
⇝ "farz-e-kafaya wo jiska ada krna hr ak ke liye zarori nhn hai"
blky baz logon ke ada krny se sbki trf se ada ho jta hai,or agr koi bhi ada na kry to sb Gunahgar hon.jesy Namaz Janaza agr koi bhi ada na kry to sb Musalman gunahgar hon ge.
Wajib
wajib wo hai jo shariyat ki zani dalil se sabit ho iska krna zarori hai,or iska bila kisi taweel or bgair kisi uzr ke chor deny wla fasiq or azab ka mustahiq hai.lekin iska inkar krny wla kafir nhn blky gumrah hai.
Sunnat
Sunnat is amal ko kha jta hai,jo Hazoor pak ﷺ ne kia hai.ya kisi amal ko krny ka hukam dia hai.
iski bhi do qismain hain:-
➧Sunnat-e-Mokida
➧Sunnat-e-gair Mokida
Sunnat-e-Mokida : wo aml hai jo Hazoor pakﷺ ne hmesha kia or shrai uzr ke bgair kbhi nhn chora,mgr byaan-e-jawaz ke liye kbhi chor bhi dia,isy ada krny main ajr-o-sawab hai jbky isy chor deny ki adat bna leny main gunahgari hai,is liye Sunnat mokida ko hmesha ada krna chahye...
Namaz-e-Fajar ki do rakat sunnat..or Namaz-e-Zohar ki char rakat farz se pehly or do rakat farz ke bad sunnatain hain..or Namaz-e-Magrib ki do rakat sunnat or Namaz-e-Isha ki do rakat sunnat...ye namaz panjgana ki bara rakat sunnatain sb Sunat-e-Mokida hain.
Sunnat-e-gair Mokida : wo fail hai jisy Hazoor pak ﷺ ne musalsal nhn blky kbhi kia or kbhi chor dia.isy krny wla sawab paye ga or isy chor deny wla azab ka mustahiq nhn...
jesy Asar ke pehly ki char rakta sunnat..or Isha se pehly ki char rakat sunnat ye sb sunnat-e-gair Mokida hain.Sunnat-e-gair Mokida ko sunnat-e-zaida bhi kehty hain.
Mustahib
hr wo kam mustahib hai jo shariyat ki nzr main pasandida ho,or isko chor dena shariyat ki nzr main bura bhi na ho.khwah is kam ko Hazoor pakﷺ ne kia ho ya iski targeeb di ho.ya Ulma kram ne isko psnd frmaya agarcha hadison main iska zikar na aya ho.ye sb mustahib hain.Mustahib ko krna sawab hai or isko chor deny se na koi azab hta hai na atab.jesy wozoo krny main Qibla ru ho ke bethna,Namaz main ba'halat Qayam sajda gah pr nzr rkhna ,Khutba main Khulfa RAshdeen ka zikr krna mustahib hai.
Nafal
ye aik trah ka mustahib aml he hai jisy ada krny ke mutaliq Hazoor pakﷺ ne fazilat byaan ki hai,isy krny main bohat sawab hai,or na krny main koi mazaiqa nhn hai.
Mubah
Mubah wo hai jiska krna or chor dena dono brabar hon.jisky krny main na koi sawab ho or chorny main na koi azab ho.jesy Lazeez gazaon ka khana Or NAfees kapron ka pehn'na wgera...
Haraam
haraam wo hai jiski mamanat Qatuei shrai daleel se sabit ho,iska chorna zarori or bais-e-sawab hai.or iska ak mrtaba bhi Qasdan krny wala fasiq-o-jahanumi hai,or gunah kabira ka murtakib hai,or iska inkar krny wala kafir hai..haraam farz ke muqabil hai yani farz ka krna zarori hai Or haraam ka chorna zarori hai.
Makrooh-e-tehreemi
Makrooh-e-tehreemi wo hai jo shariyat ki zani daleel se sabit ho.iska chorna lazim or bais-e-sawab hai,Or iska krny wala gunahgar hai. agrcha isky krny ka gunah haraam ke krny se km hai.mgr chnd bar isko kr lena gunah kabira hai.yani yad rkho ke ye wajib ka muqabil haiyani Wajib ko krna lazim hai or Makrooh-e-tehreemi ko chorna lazim hai.
Asa'at
Asa'at wo hai jiska krna bura hai or kbhi itfaqia kr leny wala laiq-e-atab or iske krny ki adat bna leny wala mustahiqy azab hai.yad rhy ke ye sunnat-e-mokida ka muqabil hai..yani sunnat Mokida ko krna sawab hai or chorna bura hai Or Asa'at ko chorna sawab or krna bura hai.
Makrooh-e-Tanzeehi
Makrooh-e-Tanzeehi wo hai jiska krna shariyat ko psnd nhn.mgr iske krny waly pr azab nhn hoga..ye Sunnat-e-gair mokida ke muqabil hai.
Khilaf-e-Ulaa
Khilaf-e-ulaa wo hai jisko chor dena behtar tha.lekin agr isko kr lia to kuch mzaiqa nhn..ye mustahib ka muqabil hai.
Comments
Post a Comment
jazak Allah..