A few bad things
hr mard or aurat pr lazim hai ke buri khaslaton or khrab adton se apny aap ko or apny Ahl-o-Ayal ko bchaye rkhy.or naik khaslaton or achi aadton ko khud bhi ikhtiyaar kry or apny sb mutalqeen ko b iska kaar-bnd hony ki intihai takeed kry. youn to achi or buri adton ki tadaad bht zyada hai mgr hm yahn in chnd buri khslaton or khrab adton ka zikr krty hain.jin main aksar khasosan auratyn girfitaar hain or in buri adton ki wja se log apny deen-o-dunia ko tabah-o-brbaad kr ke dono jahan ki sa'adton se mehroom ho rhy hain.
Gussa..!
be mehal or be moqa baat pr ba-kasrat gussa krna,ye bohat khrab adat hai.aksar aisa hota hai ke insan gussa main aa kr dunia ke bohat se bny bnaye kamon ko bigar deta hai or kbhi kbhi gussa ki jhlahat main Allah ki na shukri or kufr ka kalma bolny lgta hai.or apny imaan ki dolat ko garat or brbad kr dalta hai.isi liye Rasool Allahﷺ ne apni ummat ko be-mehal or bat bat pr gussa krny se mna frmaya hai.
Hadis Shareef main hai ke..!
ak shakhs bargah-e-nabuwat main hazir hwa or arz kia ke Ya-Rasool Allahﷺ..!
mujhy kisi amal ka hukum dijiye mgr bohat he thora ho to...Nabi pakﷺ ne irshad frmaya hai ke''Gussa mt kr" us ne kha ke kuch or irshad frmaiye to Nabi pakﷺ ne phir yhe frmaya ke"Gussa mt kr"garz kai bar us shakhs ne daryaft kia mgr hr mrtaba Apﷺ ne yhe frmaya ke"Gussa mt kr" (Sahih al-bukhari,Kitab-ul-adab,Bab-ul-hizar-min Al-gadab).
Ak hadis main aya hai ke Rasool-e-Khudaﷺ ne irshad frmaya ke..!
"pehalwan wo nhn hai jo logon ko pchaar deta hai blky pehalwaan wo hai jo Gussa ki halat main apny Nafs pr qabo rkhy"(Al-bukhari)
Gussa kb bura'kb acha hai..?
Gussa ke muamla main yahan ye bat achi trah smjh lo ke gussa b'zaat khud na acha hai na bura.dr-haqiqat gussa ki achai or burai ka dar-o-mdar moqa or mehal ki achai or burai pr hai,agr be-mehal gussa kia or iske asrat bury zahir hwe to ye gussa bura hai.Or agr be-mehal gussa kia or iske asrat achy zahir hwe to ye gussa acha hai.
Example:-
kisi bhoky pyasy or doodh pity bchy ke rony pr tum ko gussa agya or tum ne bchy ka gla ghont dia to tb tmhara ye gussa bikul he be-mehal hai,is liye ye gussa bura hai.Or agr kisi dakuu ko daka dalty wqt dekh kr tum ko gussa agya or tum ne bandooq chla kr is dakuu ka khatma kr dia to tb tmhara ye gussa br-mehal hai.lahaza ye gussa bura nhn blky acha hai.
Hadis Shareef mai jis gussa ki burai or muzammat byaan ki gai hai,ye whe gussa hai jo be-mehal ho or jiske asrat bury hon.bilkul zahir bat hai ke Gussa main reham ki jga be-rehmi or adal ki jga Zulm,shukr ki jga na'shukri,Imaan ki jga kufr,ho to bhla kon keh skta hai ke ye gussa acha hai..? yakinan ye gussa bura hai or ye bohat he buri khaslat or nhayat he khrab adat hai is se bchna hr musalman mard-o-aurat ke liyelazim hai.
Gussa ka ilaaj..!
jb be-mehal gussa ki jhullahat admi ke sr pr swaar ho jaye to Rasool Allahﷺ ne frmaya ke isko chahye ke wo foran he "wuzoo" kry.Is liye ke be-mehal or muzr gussa dilany wla shaitaan hai or shaitaan aag se paida kia gya hai,Or aag pani se bujh jati hai is liye wuzoo gussa ki aag ko bujha deta hai.(Sunan Abi Daood)
Or ak hadis main ye bhi aaya hai ke agr khry hony ki halat main gussa a'jaye to admi ko chahye ke foran beth jaye to gussa utr jaye ga.or agr bethny se bhi gussa na utry to lait jaye ta ke gussa khtm ho jaye.(Al-masnad lil-imaam ahmad bin hanbal)
Comments
Post a Comment
jazak Allah..